Karta hu main teri chinta,
Tu kyon chinta karta hai…(2)
Aansuon ki ghatiyo mein,
Hath na chodunga tera…(2)
Meri mahima tu dekhega,
Khud ko mere hathon me de de…(2)
Meri shakti main tujhko deta hu,
Chalaunga hardin meri kripa mein…(2)
Karta hu main teri chinta…
Sabhi tujhko bhulenge to bhi,
Kya main tujhko bhulunga kabhi…(2)
Apne haatho mein tujhe utha kar,
Chalaunga hardin isi jahaan mein…(2)
Karta hu main teri chinta…
Abraham ka main Parmeshwar hun,
Adhbhut karya kyun na karunga…(2)
Lal sagar mein rasta diya,
Aaj bhi main karne ke yogya hun…(2)
Karta hu main teri chinta…