Kalee kalee chaman kee aaj muskara uthee
ye kya hua ki raat bhee hai jagmaga uthee
zamee ko aaj raushnee ka taara mil gaya
maseeh khuda ke noor ka nazaara mil gaya
hoshanna hoshanna hoshanna hoshanna
Chalegen manzilon talak ye dil ke kaafile
tamaam hone ko hai ab safar ke marahale
bhanvar mein goya qashtee ko kinaara mil gaya
maseeh khuda ke noor ka nazaara mil gaya
Chalo ke ab ujaalon ke safar pe jaayenge
nayee zamee nayee dagar ko ham bhee paayenge
khushaamadeed salaamatee ka taara mil gaya
maseeh khuda ke noor ka nazaara mil gaya
Bahaar titaliyaan nayee faza banaayegen
hayaat mein nishaat ke dhanak sajaayegen
chaman ko husn-ai-noor ka ishaara mil gaya
maseeh khuda ke noor ka nazaara mil gaya