Sharmindagi mein tha Main dooba
Iss Dard ko main na seh saka
Main tha Bejaan Tere bina
Saansein thi par zinda Main na tha
Nakamiyo se tha bhara hua
Main tha Bejaan Tere bina
Pukara Tu ne
Zinda hua Main
Andhero mein se
Teri mahima mein
Karuna ne teri bachaya mujhe
Azadi Teri hai pai maine
Hua sab naya
Yeshu tu jab se mila
Pukara Tu ne...
Khoya hua tha
Bandha hua tha
Par Tune har zanjeer todi
Beghar tha main
Mili panah Mujhe
Pehchaan mujhe Tujhme mili
Toota hua tha
Tu ne sambhala
Teri mohabbat
Saason mein hai bassi
Mili hai manzil
Hua sab haasil
Jabse Pukara tu ne
Zinda hua main
Andhero mein se
Teri mahima mein
Pukara Tu ne
Zinda hua Main
Andhero mein se
Teri mahima mein