Bhajan karun mai bhajan karun
Bhajan karun mai bhajan karun
Naam masih ka mai leta rahun
Dushman mujhko mere sataen
Dosh wo jhute mujh pe lagaen
Unke liye mai dua karun
Bhajan karun…
Log jo jhooti baaten gadhe
Charo taraf badnaam karen
Fir bhi mai unko kshama karun
Bhajan karun…
Haath Pakadle pyare masih
raah dikhade jo hai sahi
tere mai piche piche chalun
Bhajan karun…
Ranj aur dukh mitenge tamaam
leta rahu sada tera he naam
charno me mai sada tere rahun
Bhajan karun..