Ab vah din nikat hai prabhu aaega – 2
vishvasyogy daas jo majduri payega – 2
anand se bhar jayega. – 4
Har ek ka kaam tab, pragat hovega – 2
kaath ya ghaas ya phoos ka radda ho (x-2)
sona chandi ya bahumol patthar ho – 2
aag parkhegi-2, tab tu jaan jayega. (x-2)
Ab vah din nikat hai…..
Aatmain marti, kya tujhe bojh hai? – 2
teri seva se, koi bacha hai? (x-2)
prabhu jab aaega, sanmukh uske wo – 2
anand badhaee ka-2, mukut veh ban jayega (x-2)
ab vah din nikat hai…..
Tu jo prachin hai, kalisiya main – 2
jhund ko sambhal aur, prem se apana le (x-2)
adarsh tu banakar, rakhavali bhi kar – 2
mahima ka mukut-2 tujh ko diya jayega. (x-2)
Ab vah din nikat hai…..
Bhakti se yadi tu jiwan bitaega – 2
klesh aur sankat sehana padega (x-2)
praan dene tak vishvasyogy reh tu – 2
jiwan ka mukut – 2, jaan rakh tu payega (x-2)
Ab vah din nikat hai…..