Main aata hoon baag mein tanha
jab phool hai sab shabnam se bhaaree
tab ibn-e-Khuda kee aatee sada
phir uskee soorat pyaaree
Mere chalata saath mujh se karata baat
main hoon uska apna mehboob
uske paaq huzoor mein hai voh suroor
jo dil ko be-hadd margoob
Aavaaz uskee aisee sheereen
ki chidiyaan bhool jaatee chehchahaana
kya khush-navaee mere dil mein aaee
ab hai us hee ka gaana
Main chaahta nit thehroon yahaan
go raat kee taareekee aa ghere
par voh kehta ja auro ko bata
jahan paap aur dukh bahutere